shabnam bhigi ghas pe chalna kitna achchha lagta hai
shabnam bhīgī ghaas pe chalnā kitnā achchhā lagtā hai
paañv tale jo motī bikhreñ jhilmil rasta lagtā hai
jaaḌe kī is dhuup ne dekho kaisā jaadū pher diyā
behad sabz daraḳhtoñ kā bhī rañg sunahrā lagtā hai
bheḌeñ ujlī jhaag ke jaisī sabza ek samundar sā
duur khaḌā vo parbat niilā ḳhvāb meñ khoyā lagtā hai
jis ne sab kī mail kasāfat dhoī apne hāthoñ se
dariyā kitnā ujlā hai vo shīshe jaisā lagtā hai
andar bāhar ek ḳhamoshī ek jalan bechainī se
kis ko ham batlā.eñ āḳhir ye sab kaisā lagtā hai
shaam lahakte jazboñ vaalī 'fikrī' kab kī raakh huī
chāñd-rū pahlī kirnoñ vaalā dard kā maarā lagtā hai
shabnam bhigi ghas pe chalna kitna achchha lagta hai
panw tale jo moti bikhren jhilmil rasta lagta hai
jaDe ki is dhup ne dekho kaisa jadu pher diya
behad sabz daraKHton ka bhi rang sunahra lagta hai
bheDen ujli jhag ke jaisi sabza ek samundar sa
dur khaDa wo parbat nila KHwab mein khoya lagta hai
jis ne sab ki mail kasafat dhoi apne hathon se
dariya kitna ujla hai wo shishe jaisa lagta hai
andar bahar ek KHamoshi ek jalan bechaini se
kis ko hum batlaen aaKHir ye sab kaisa lagta hai
sham lahakte jazbon wali 'fikri' kab ki rakh hui
chand-ru pahli kirnon wala dard ka mara lagta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.