shabnam ki tarah subh ki aankhon mein paDa hai
shabnam kī tarah sub.h kī āñkhoñ meñ paḌā hai
hālāt kā maarā hai panāhoñ meñ paḌā hai
thā zindagī ke saaz pe chheḌā huā naġhma
be-rabt jo TuuTe hue sāzoñ meñ paḌā hai
sūraj kī shuāoñ se ulajhtā hai musalsal
saaya hai abhī vaqt kī bāhoñ meñ paḌā hai
tārīḳh batā.egī vo qatra hai ki dariyā
aañsū hai abhī vaqt ke qadmoñ meñ paḌā hai
is tarah vo rad kartā hai 'ālam' ke kahe ko
jaise koī bharpūr gunāhoñ meñ paḌā hai
shabnam ki tarah subh ki aankhon mein paDa hai
haalat ka mara hai panahon mein paDa hai
tha zindagi ke saz pe chheDa hua naghma
be-rabt jo TuTe hue sazon mein paDa hai
suraj ki shuaon se ulajhta hai musalsal
saya hai abhi waqt ki bahon mein paDa hai
tariKH bataegi wo qatra hai ki dariya
aansu hai abhi waqt ke qadmon mein paDa hai
is tarah wo rad karta hai 'alam' ke kahe ko
jaise koi bharpur gunahon mein paDa hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.