shabnam mein chandni mein gulabon mein aaega
shabnam meñ chāñdnī meñ gulāboñ meñ aa.egā
ab terā zikr saarī kitāboñ meñ aa.egā
jo lamha kho gayā hai use phir na DhūñDhnā
jo chāñd Dhal chukā hai vo ḳhvāboñ meñ aa.egā
dukh de rahī haiñ us kī ye barfīlī ādateñ
pighlegā ek din to sharāboñ meñ aa.egā
pahchān bhī sakoge nahīñ apne naam ko
aa.egā bhī to itne hijāboñ meñ aa.egā
jab terā naam husn kī tārīḳh ban gayā
phir merā zikr dil kī kitāboñ meñ aa.egā
shabnam mein chandni mein gulabon mein aaega
ab tera zikr sari kitabon mein aaega
jo lamha kho gaya hai use phir na DhunDhna
jo chand Dhal chuka hai wo KHwabon mein aaega
dukh de rahi hain us ki ye barfili aadaten
pighlega ek din to sharabon mein aaega
pahchan bhi sakoge nahin apne nam ko
aaega bhi to itne hijabon mein aaega
jab tera nam husn ki tariKH ban gaya
phir mera zikr dil ki kitabon mein aaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.