Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

shafaq jo ru-e-sahar par gulal malne lagi

Shakeb Jalali

shafaq jo ru-e-sahar par gulal malne lagi

Shakeb Jalali

MORE BYShakeb Jalali

    shafaq jo rū-e-sahar par gulāl malne lagī

    ye bastiyoñ fazā kyuuñ dhuāñ ugalne lagī

    isī liye to havā ro paḌī daraḳhtoñ meñ

    abhī maiñ khil na sakā thā ki rut badalne lagī

    utar ke naav se bhī kab safar tamām huā

    zamīñ pe paañv dharā to zamīn chalne lagī

    kisī jism agar chhū liyā ḳhayāl meñ bhī

    to por por mirī misl-e-sham.a jalne lagī

    maiñ nāptā chalā qadmoñ se apne saa.e ko

    kabhī jo dasht-e-masāfat meñ dhuup Dhalne lagī

    mirī nigāh meñ ḳhvāhish shā.iba bhī na thā

    ye barf tire chehre pe kyuuñ pighalne lagī

    havā chalī sar-e-sahrā to yuuñ lagā jaise

    ridā-e-shām mire dosh se phisalne lagī

    kahīñ paḌā na ho partav bahār-e-rafta

    ye sabz buuñd palkoñ pe kyā machalne lagī

    na jaane kyā kahā us ne bahut āhista

    fazā Thahrī huī saañs phir se chalne lagī

    jo dil zahr thā kāġhaz pe sab bikher diyā

    jo apne aap tabī.at mirī sambhalne lagī

    jahāñ shajar pe lagā thā tabar zaḳhm 'shakeb'

    vahīñ ye dekh le koñpal na.ī nikalne lagī

    shafaq jo ru-e-sahar par gulal malne lagi

    ye bastiyon ki faza kyun dhuan ugalne lagi

    isi liye to hawa ro paDi daraKHton mein

    abhi main khil na saka tha ki rut badalne lagi

    utar ke naw se bhi kab safar tamam hua

    zamin pe panw dhara to zamin chalne lagi

    kisi ka jism agar chhu liya KHayal mein bhi

    to por por meri misl-e-shama jalne lagi

    main napta chala qadmon se apne sae ko

    kabhi jo dasht-e-masafat mein dhup Dhalne lagi

    meri nigah mein KHwahish ka shaiba bhi na tha

    ye barf si tere chehre pe kyun pighalne lagi

    hawa chali sar-e-sahra to yun laga jaise

    rida-e-sham mere dosh se phisalne lagi

    kahin paDa na ho partaw bahaar-e-rafta ka

    ye sabz bund si palkon pe kya machalne lagi

    na jaane kya kaha us ne bahut hi aahista

    faza ki Thahri hui sans phir se chalne lagi

    jo dil ka zahr tha kaghaz pe sab bikher diya

    jo apne aap tabiat meri sambhalne lagi

    jahan shajar pe laga tha tabar ka zaKHm 'shakeb'

    wahin ye dekh le konpal nai nikalne lagi

    Source :
    • Book : Pakistani Adab (Pg. 561)
    • Author : Dr. Rashid Amjad
    • Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
    • Edition : 2009
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now