shafaq ki rakh mein jal bujh gaya sitara-e-sham
shafaq kī raakh meñ jal bujh gayā sitāra-e-shām
shab-e-firāq ke gesū fazā meñ lahrā.e
koī pukāro ki ik umr hone aa.ī hai
falak ko qāfila-e-roz-o-shām Thahrā.e
ye zid hai yaad harīfān-e-bāda-paimā kī
ki shab ko chāñd na nikle na din ko abr aa.e
sabā ne phir dar-e-zindāñ pe aa ke dī dastak
sahar qarīb hai dil se kaho na ghabrā.e
shafaq ki rakh mein jal bujh gaya sitara-e-sham
shab-e-firaq ke gesu faza mein lahrae
koi pukaro ki ek umr hone aai hai
falak ko qafila-e-roz-o-sham Thahrae
ye zid hai yaad harifan-e-baada-paima ki
ki shab ko chand na nikle na din ko abr aae
saba ne phir dar-e-zindan pe aa ke di dastak
sahar qarib hai dil se kaho na ghabrae
- Book : Nuskha Hai Wafa (Pg. 135)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.