shafaq sitare dhanak kahkashan banate hue
shafaq sitāre dhanak kahkashāñ banāte hue
vo is zamīñ pe milā āsmāñ banāte hue
bhaTak na jaa.eñ mire baa'd aane vaale log
maiñ chal rahā huuñ zamīñ par nishāñ banāte hue
chalo ab un kī bhī bastī meñ phuul baañT aa.eñ
jo thak chuke haiñ ye tīr-o-kamāñ banāte hue
mire vajūd kī rusvā.iyo tumhārī qasam
hai dil meñ ḳhauf phir ik rāz-dāñ banāte hue
jalā.e haath tahaffuz meñ varna āñdhī se
charāġh bujh gayā hotā dhuāñ banāte hue
paḌā huā hai vo tārīkiyoñ ke malbe meñ
ḳhayāl-o-ḳhvāb meñ ik kahkashāñ banāte hue
yahī ho ajr mire kār-e-ḳhair kā shāyad
akelā rah gayā ḳhud kārvāñ banāte hue
zamīñ pe baiTh gayā thak ke do-ghaḌī 'ḳhālid'
amiir logoñ kī vo kursiyāñ banāte haiñ
shafaq sitare dhanak kahkashan banate hue
wo is zamin pe mila aasman banate hue
bhaTak na jaen mere ba'd aane wale log
main chal raha hun zamin par nishan banate hue
chalo ab un ki bhi basti mein phul banT aaen
jo thak chuke hain ye tir-o-kaman banate hue
mere wajud ki ruswaiyo tumhaari qasam
hai dil mein KHauf phir ek raaz-dan banate hue
jalae hath tahaffuz mein warna aandhi se
charagh bujh gaya hota dhuan banate hue
paDa hua hai wo tarikiyon ke malbe mein
KHayal-o-KHwab mein ek kahkashan banate hue
yahi ho ajr mere kar-e-KHair ka shayad
akela rah gaya KHud karwan banate hue
zamin pe baiTh gaya thak ke do-ghaDi 'KHalid'
amir logon ki wo kursiyan banate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.