shaghl bhi ashk-e-KHun-fishnani ka
shaġhl bhī ashk-e-ḳhūñ-fishnānī kā
khel hai aag aur paanī kā
jal gayā tuur ġhash hue muusā
khul gayā haal lan-tarānī kā
jaan de kar rah-e-mohabbat meñ
mil gayā lutf-e-zindagānī kā
āh-e-dil ne diyā sahārā kuchh
jab baḌhā zor nā-tavānī kā
jab se tasvīr terī dekhī hai
rañg-e-ruḳh uḌ gayā hai maanī kā
kuchh samajh meñ na aaj tak aayā
falsafa maut-o-zindagānī kā
shaghl bhi ashk-e-KHun-fishnani ka
khel hai aag aur pani ka
jal gaya tur ghash hue musa
khul gaya haal lan-tarani ka
jaan de kar rah-e-mohabbat mein
mil gaya lutf-e-zindagani ka
aah-e-dil ne diya sahaara kuchh
jab baDha zor na-tawani ka
jab se taswir teri dekhi hai
rang-e-ruKH uD gaya hai mani ka
kuchh samajh mein na aaj tak aaya
falsafa maut-o-zindagani ka
- Book : Naghmah-e-Fikr (Pg. 33)
- Author : Shola Saiyed Momin Husain Taqvi Kararivi
- Publication : Shabistan 218 Shahah ganj Allahabad (1968)
- Edition : 1968
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.