aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

shaguftagi se gae, dil-giraftagi se gae

Irfan Sattar

shaguftagi se gae, dil-giraftagi se gae

Irfan Sattar

MORE BYIrfan Sattar

    shaguftagī se ga.e, dil-giraftagī se ga.e

    ham aaj ḳhalvat-e-jāñ meñ bhī be-dilī se ga.e

    gila kareñ bhī to kis se vo nā-murād-e-junūñ

    jo ḳhud zavāl jānib baḌī ḳhushī se ga.e

    sunā hai ahl-e-ḳhirad hai daur-e-ā.inda

    ye baat hai to samajh lo ki ham abhī se ga.e

    ḳhudā kare na kabhī mil sake davām-e-visāl

    jiyeñge ḳhaak agar tere ḳhvāb se ga.e

    hai ye bhī ḳhauf hameñ be-tavajjohī se sivā

    ki jis nazar se tavaqqo.a hai gir usī se ga.e

    maqām kis kahāñ hai, buland kis se hai kaun?

    miyāñ ye fikr karoge to shā.irī se ga.e

    har ek dar pe jabīñ Tekte ye sajda-guzār

    ḳhudā khoj meñ nikle the aur ḳhudī se ga.e

    samajhte kyuuñ nahīñ ye shā.er-e-karaḳht-navā

    suḳhan kahāñ jo lahje dilkashī se ga.e

    galī thī sahn hissa hamāre bachpan meñ

    makāñ baḌe hue lekin kushādgī se ga.e

    barā.e ahl-e-jahāñ laakh kaj-kulāh the ham

    ga.e harīm-e-suḳhan meñ to ājizī se ga.e

    ye tez raushnī rātoñ husn khā ga.ī hai

    tumhāre shahr meñ ham apnī chāñdnī se ga.e

    faqīh-e-shahr har baat maan lo chup-chāp

    agar savāl uThāyā, to zindagī se ga.e

    na pūchhiye ki vo kis karb se guzarte haiñ

    jo āgahī ke sabab aish-e-bandagī se ga.e

    uThāo raḳht-e-safar, aao ab chalo 'irfān'

    hasīñ yahāñ ke to sab ḳhū-e-dilbarī se ga.e

    shaguftagi se gae, dil-giraftagi se gae

    hum aaj KHalwat-e-jaan mein bhi be-dili se gae

    gila karen bhi to kis se wo na-murad-e-junun

    jo KHud zawal ki jaanib baDi KHushi se gae

    suna hai ahl-e-KHirad ka hai daur-e-ainda

    ye baat hai to samajh lo ki hum abhi se gae

    KHuda kare na kabhi mil sake dawam-e-visal

    jiyenge KHak agar tere KHwab hi se gae

    hai ye bhi KHauf hamein be-tawajjohi se siwa

    ki jis nazar se tawaqqoa hai gir usi se gae

    maqam kis ka kahan hai, buland kis se hai kaun?

    miyan ye fikr karoge to shairi se gae

    har ek dar pe jabin Tekte ye sajda-guzar

    KHuda ki khoj mein nikle the aur KHudi se gae

    samajhte kyun nahin ye shaer-e-karaKHt-nawa

    suKHan kahan ka jo lahje ki dilkashi se gae

    gali thi sahn ka hissa hamare bachpan mein

    makan baDe hue lekin kushadgi se gae

    barae ahl-e-jahan lakh kaj-kulah the hum

    gae harim-e-suKHan mein to aajizi se gae

    ye tez raushni raaton ka husn kha gai hai

    tumhaare shahr mein hum apni chandni se gae

    faqih-e-shahr ki har baat man lo chup-chap

    agar sawal uThaya, to zindagi se gae

    na puchhiye ki wo kis karb se guzarte hain

    jo aagahi ke sabab aish-e-bandagi se gae

    uThao raKHt-e-safar, aao ab chalo 'irfan'

    hasin yahan ke to sab KHu-e-dilbari se gae

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now