shagun le kar na kyun ghar se chala main
shagun le kar na kyuuñ ghar se chalā maiñ
tumhāre shahr meñ tanhā phirā maiñ
akelā thā kise āvāz detā
utartī raat se tanhā laḌā maiñ
guzarte vaqt ke pairoñ meñ aayā
saraktī dhuup kā saayā banā maiñ
ḳhalāoñ meñ mujhe pheñkā gayā thā
zamīñ pe reza reza ho gayā maiñ
mire hone ne mujh ko maar Daalā
nahīñ thā to bahut mahfūz thā maiñ
yahāñ to aa.ine hī aa.ine haiñ
mujhe DhūñDo kahāñ par kho gayā maiñ
shagun le kar na kyun ghar se chala main
tumhaare shahr mein tanha phira main
akela tha kise aawaz deta
utarti raat se tanha laDa main
guzarte waqt ke pairon mein aaya
sarakti dhup ka saya bana main
KHalaon mein mujhe phenka gaya tha
zamin pe reza reza ho gaya main
mere hone ne mujh ko mar Dala
nahin tha to bahut mahfuz tha main
yahan to aaine hi aaine hain
mujhe DhunDo kahan par kho gaya main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.