shahadat mein zafar raushan jabin ko dekh le aa kar
shahādat meñ zafar raushan jabīñ ko dekh le aa kar
sun ai qātil mirī fat.h-e-mubīñ ko dekh le aa kar
mirī yādoñ meñ haiñ ābād mazlūm-e-jahāñ saare
kahāñ tak adl hai dil kī zamīñ ko dekh le aa kar
milā hai yak jahāñ ġham mujh ko terī bevafā.ī se
ye kaisā auj hai jān-e-hazīñ ko dekh le aa kar
mujhe fikr-e-jahāñ kitnī hai apnī zaat meñ 'rāshid'
mile fursat to us ḳhāna-nashīñ ko dekh le aa kar
shahadat mein zafar raushan jabin ko dekh le aa kar
sun ai qatil meri fath-e-mubin ko dekh le aa kar
meri yaadon mein hain aabaad mazlum-e-jahan sare
kahan tak adl hai dil ki zamin ko dekh le aa kar
mila hai yak jahan gham mujh ko teri bewafai se
ye kaisa auj hai jaan-e-hazin ko dekh le aa kar
mujhe fikr-e-jahan kitni hai apni zat mein 'rashid'
mile fursat to us KHana-nashin ko dekh le aa kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.