shahr aabaad ho chuka bhi hai
shahr ābād ho chukā bhī hai
aur phir se ujaḌ rahā bhī hai
roz-o-shab kā safar bhī hai jaarī
aur musāfir thakā huā bhī hai
raat hai chāñd hai sitāre haiñ
aur ḳhvāboñ kā silsila bhī hai
ik to hūrān-e-ḳhuld kī ḳhvāhish
aur phir baḳht-e-nā-rasā bhī hai
ḳhud-farebī kī āḳhirī had tak
ham ne badlā to ā.īna bhī hai
ham ne baazī to yuuñ nahīñ haarī
koī apnā idhar gayā bhī hai
ek to duur hai bahut manzil
us pe pur-pech rāsta bhī hai
zindagī jitnī ḳhūbsūrat hai
us se baḌh kar ye bad-numā bhī hai
shahr meñ shor hai qayāmat kā
aur 'farhat' ġhazal-sarā bhī hai
shahr aabaad ho chuka bhi hai
aur phir se ujaD raha bhi hai
roz-o-shab ka safar bhi hai jari
aur musafir thaka hua bhi hai
raat hai chand hai sitare hain
aur KHwabon ka silsila bhi hai
ek to huran-e-KHuld ki KHwahish
aur phir baKHt-e-na-rasa bhi hai
KHud-farebi ki aaKHiri had tak
hum ne badla to aaina bhi hai
hum ne bazi to yun nahin haari
koi apna idhar gaya bhi hai
ek to dur hai bahut manzil
us pe pur-pech rasta bhi hai
zindagi jitni KHubsurat hai
us se baDh kar ye bad-numa bhi hai
shahr mein shor hai qayamat ka
aur 'farhat' ghazal-sara bhi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.