shahr KHamosh hai sab neza-o-KHanjar chup hain
shahr ḳhāmosh hai sab neza-o-ḳhanjar chup haiñ
kaisī uftād paḌī hai ki sitamgar chup haiñ
ḳhuuñ kā sailāb thā jo sar se abhī guzrā hai
bām-o-dar ab bhī sisakte haiñ magar ghar chup haiñ
chār-sū dasht meñ phailā hai udāsī kā dhuāñ
phuul sahme haiñ havā Thahrī hai manzar chup haiñ
mutma.in koī nahīñ nāma-e-ā'māl se aaj
muskurātā hai ḳhudā saare payambar chup haiñ
lauT ke aatī nahīñ ab to sadā-e-gumbad
chup haiñ sab dair-o-haram masnad-o-mimbar chup haiñ
maiñ jo ḳhāmosh thā ik shor thā har mahfil meñ
merī goyā.ī pe ab saare suḳhnavar chup haiñ
shahr KHamosh hai sab neza-o-KHanjar chup hain
kaisi uftad paDi hai ki sitamgar chup hain
KHun ka sailab tha jo sar se abhi guzra hai
baam-o-dar ab bhi sisakte hain magar ghar chup hain
chaar-su dasht mein phaila hai udasi ka dhuan
phul sahme hain hawa Thahri hai manzar chup hain
mutmain koi nahin nama-e-a'mal se aaj
muskuraata hai KHuda sare payambar chup hain
lauT ke aati nahin ab to sada-e-gumbad
chup hain sab dair-o-haram masnad-o-mimbar chup hain
main jo KHamosh tha ek shor tha har mahfil mein
meri goyai pe ab sare suKHnawar chup hain
- Book : Kahein Kuch Nahein Hota (Pg. 106)
- Author : Shahid Mahuli
- Publication : Miaar Publications (2003)
- Edition : 2003
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.