shahr pe chhai hui KHatra-e-yalghaar ki raat
shahr pe chhā.ī huī ḳhatra-e-yalġhār kī raat
zeb-e-tārīḳh rahegī karam-e-yār kī raat
shukriya tum ko rahā pās-e-hijāb-e-jānāñ
ai shab-e-kūcha-o-barzan dar-o-dīvār kī raat
dhuup meñ kūcha-navardī nahīñ jin kā maslak
un pe nāzil na huī gesū-e-ḳhamdār kī raat
maiñ ne dekhe haiñ vahāñ kitne nizām-e-shamsī
din ko kis tarah kahūñ anjuman-e-yār kī raat
chhū na pā.eñge vo resham se mulā.im gesū
saḳht lagtī hai jinheñ vāda-e-dil-dār kī raat
shart hai dūsre aalam meñ rasā.ī varna
raat zāhid kī vahī hai jo qadah-ḳhvār kī raat
qābil-e-rashk hai ai dost hayāt-e-'mānī'
terī yādoñ kā shabīna kabhī afkār kī raat
shahr pe chhai hui KHatra-e-yalghaar ki raat
zeb-e-tariKH rahegi karam-e-yar ki raat
shukriya tum ko raha pas-e-hijab-e-jaanan
ai shab-e-kucha-o-barzan dar-o-diwar ki raat
dhup mein kucha-nawardi nahin jin ka maslak
un pe nazil na hui gesu-e-KHamdar ki raat
main ne dekhe hain wahan kitne nizam-e-shamsi
din ko kis tarah kahun anjuman-e-yar ki raat
chhu na paenge wo resham se mulaim gesu
saKHt lagti hai jinhen wada-e-dil-dar ki raat
shart hai dusre aalam mein rasai warna
raat zahid ki wahi hai jo qadah-KHwar ki raat
qabil-e-rashk hai ai dost hayat-e-'mani'
teri yaadon ka shabina kabhi afkar ki raat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.