shahar ujDe hue KHwabon ke basae kya kya
shahar ujḌe hue ḳhvāboñ ke basā.e kyā kyā
niiñd meñ ham ne dar-o-bām sajā.e kyā kyā
har qadam par kisī manzil kā guzartā thā gumāñ
raah chalte hue manzar nazar aa.e kyā kyā
ham ki phir terī haqīqat pe nazar kar na sake
zindagī tū ne hameñ ḳhvāb dikhā.e kyā kyā
ik sitāra ki chamaktā hai bahut duur kahīñ
zulmat-e-shab meñ hameñ paas bulā.e kyā kyā
mausam-e-gul meñ tirā ham se judā ho jaanā
yaad aa.e to hameñ ḳhuun rulā.e kyā kyā
kho se jaate haiñ kahīñ us kā ḳhayāl aate hī
ham use bhuul ke bhī bhuul na paa.e kyā kyā
mundamil ho ga.e sab zaḳhm purāne to magar
dil kī ik taaza kasak ham ko satā.e kyā kyā
kyā masāfat hai ki hairān kiye detī hai
har guzartā huā pal sāmne laa.e kyā kyā
āñsuoñ ne tirī tasvīr bhī dhundlī kar dī
naqsh paanī pe magar ham ne banā.e kyā kyā
likhne baiTheñ jo kabhī umr-e-guzishta kā hisāb
ek ik lamha hameñ yaad dilā.e kyā kyā
kyā kaheñ vo bhī hameñ raas na aa.ī 'maḳhmūr'
ik ḳhushī jis ke liye rañj uThā.e kyā kyā
shahar ujDe hue KHwabon ke basae kya kya
nind mein hum ne dar-o-baam sajae kya kya
har qadam par kisi manzil ka guzarta tha guman
rah chalte hue manzar nazar aae kya kya
hum ki phir teri haqiqat pe nazar kar na sake
zindagi tu ne hamein KHwab dikhae kya kya
ek sitara ki chamakta hai bahut dur kahin
zulmat-e-shab mein hamein pas bulae kya kya
mausam-e-gul mein tera hum se juda ho jaana
yaad aae to hamein KHun rulae kya kya
kho se jate hain kahin us ka KHayal aate hi
hum use bhul ke bhi bhul na pae kya kya
mundamil ho gae sab zaKHm purane to magar
dil ki ek taza kasak hum ko satae kya kya
kya masafat hai ki hairan kiye deti hai
har guzarta hua pal samne lae kya kya
aansuon ne teri taswir bhi dhundli kar di
naqsh pani pe magar hum ne banae kya kya
likhne baiThen jo kabhi umr-e-guzishta ka hisab
ek ek lamha hamein yaad dilae kya kya
kya kahen wo bhi hamein ras na aai 'maKHmur'
ek KHushi jis ke liye ranj uThae kya kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.