shahd gul git abr tara hai
shahd gul giit abr taarā hai
maañ mohabbat kā isti.āra hai
zindagī dā.imī talātum hai
aur maañ har ghaḌī kināra hai
tarbiyat ambiyā bhī paate haiñ
maañ kī āġhosh vo idāra hai
jitne jazbāt haiñ mohabbat ke
sab pe maañ bas tirā ijāra hai
zindagī tīrgī se pur 'aiman'
maañ chamaktā huā manāra hai
shahd gul git abr tara hai
man mohabbat ka istiara hai
zindagi daimi talatum hai
aur man har ghaDi kinara hai
tarbiyat ambiya bhi pate hain
man ki aaghosh wo idara hai
jitne jazbaat hain mohabbat ke
sab pe man bas tera ijara hai
zindagi tirgi se pur 'aiman'
man chamakta hua manara hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.