Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

shahr badla hua sa lagta hai

Balbir Rathi

shahr badla hua sa lagta hai

Balbir Rathi

MORE BYBalbir Rathi

    shahr badlā huā lagtā hai

    har koī uuprā lagtā hai

    mujh ko aksar ḳhud apne andar

    kuchh bhaTaktā huā lagtā hai

    jaane kyā baat hai ki ghar mujh ko

    roz girtā huā lagtā hai

    mujh ko har shaḳhs apnī bastī

    ḳhud se rūThā huā lagtā hai

    dard se yuuñ najāt kab hogī

    vaqt Thahrā huā lagtā hai

    zaḳhm khaa.e hue zamāna huā

    dard ab tak nayā lagtā hai

    dāstāneñ haiñ ḳhuub sab magar

    apnā qissa judā lagtā hai

    shahr badla hua sa lagta hai

    har koi upra sa lagta hai

    mujh ko aksar KHud apne andar hi

    kuchh bhaTakta hua sa lagta hai

    jaane kya baat hai ki ghar mujh ko

    roz girta hua sa lagta hai

    mujh ko har shaKHs apni basti ka

    KHud se ruTha hua sa lagta hai

    dard se yun najat kab hogi

    waqt Thahra hua sa lagta hai

    zaKHm khae hue zamana hua

    dard ab tak naya sa lagta hai

    dastanen hain KHub sab ki magar

    apna qissa juda sa lagta hai

    Source :
    • Book : Lahar Lahar (Pg. 30)
    • Author : Balbir Rathee
    • Publication : Kadambari Prakashan, Delhi (1993)
    • Edition : 1993
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now