shahr-e-tarik ke jalte hue manzar dekho
shahr-e-tārīk ke jalte hue manzar dekho
qahqahe maar ke hañstā hai sitamgar dekho
sūkhe pattoñ ko zarā aag dikhā do baḌh kar
aur phir aag ko ummīd se baḌh kar dekho
pahle dekho ki ye shīshe kā nagar bach jaa.e
vaqt mil jaa.e to pheñke ga.e patthar dekho
haq kī bāteñ mire hākim ko burī lagtī haiñ
phir bhī kahtā huuñ ki āvāz uThā kar dekho
chashm-e-namnāk mirī ḳhushk huā chāhtī haiñ
ma.azarat dost koī aur samundar dekho
shahr-e-tarik ke jalte hue manzar dekho
qahqahe mar ke hansta hai sitamgar dekho
sukhe patton ko zara aag dikha do baDh kar
aur phir aag ko ummid se baDh kar dekho
pahle dekho ki ye shishe ka nagar bach jae
waqt mil jae to phenke gae patthar dekho
haq ki baaten mere hakim ko buri lagti hain
phir bhi kahta hun ki aawaz uTha kar dekho
chashm-e-namnak meri KHushk hua chahti hain
mazarat dost koi aur samundar dekho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.