shahr-e-tamanna yunhi jalta jaega
shahr-e-tamannā yūñhī jaltā jā.egā
ḳhushiyoñ kā har ḳhvāb pighaltā jā.egā
chehra bhī pahchān na pāoge merā
lamha-lamha rang badaltā jā.egā
aa jā.egī ummīdoñ kī kaalī shaam
māyūsī kā sūraj Dhaltā jā.egā
ulTī sīdhī tā'bīroñ ke sāñche meñ
ḳhvāboñ kā bhī ruup badaltā jā.egā
shahr-e-tamanna yunhi jalta jaega
KHushiyon ka har KHwab pighalta jaega
chehra bhi pahchan na paoge mera
lamha-lamha rang badalta jaega
aa jaegi ummidon ki kali sham
mayusi ka suraj Dhalta jaega
ulTi sidhi ta'biron ke sanche mein
KHwabon ka bhi rup badalta jaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.