Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

shahr ka rog hai jis samt bhi bas jaega tu

Musavvir Sabzwari

shahr ka rog hai jis samt bhi bas jaega tu

Musavvir Sabzwari

MORE BYMusavvir Sabzwari

    shahr rog hai jis samt bhī bas jā.egā

    khule sahrāoñ āvāz ko Das jā.egā

    jab bhī yādoñ zamistānī havā chīḳhegī

    apne barfīle makānoñ meñ jhulas jā.egā

    soḳhta shaam mahmil huuñ maiñ jaatā hai kahāñ

    saath mere ba-andāz-e-jaras jā.egā

    aaj maiñ apne ta.āqub meñ nikal jā.ūñgā

    kal mire naqsh-e-kaf-e-pā ko taras jā.egā

    dekh vo dasht dīvār hai sab maqtal

    is baras jā.ūñgā maiñ agle baras jā.egā

    maiñ bujhī mahfiloñ ashtray ik pyaas

    raakh ban kar mire hoñToñ pe baras jā.egā

    is qadar rasm-o-rah-e-jism 'musavvir' na baḌhā

    apne jism ko ik roz taras jā.egā

    shahr ka rog hai jis samt bhi bas jaega tu

    khule sahraon ki aawaz ko Das jaega tu

    jab bhi yaadon ki zamistani hawa chiKHegi

    apne barfile makanon mein jhulas jaega tu

    soKHta sham ki mahmil hun main jata hai kahan

    sath mere hi ba-andaz-e-jaras jaega tu

    aaj main apne taaqub mein nikal jaunga

    kal mere naqsh-e-kaf-e-pa ko taras jaega tu

    dekh wo dasht ki diwar hai sab ka maqtal

    is baras jaunga main agle baras jaega tu

    main bujhi mahfilon ki ashtray ki ek pyas

    rakh ban kar mere honTon pe baras jaega tu

    is qadar rasm-o-rah-e-jism 'musawwir' na baDha

    apne hi jism ko ek roz taras jaega tu

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now