shahr ki jaanib chal to diya hun ganw bahut yaad aaega
shahr kī jānib chal to diyā huuñ gaañv bahut yaad aa.egā
soch rahā huuñ ab ke muqaddar jaane kahāñ le jā.egā
ghar ko chhoḌe muddat guzrī rasta bhī ab yaad nahīñ
thak ke jahāñ ab baiTh ga.e ham ghar bhī vahīñ kahlā.egā
kis ne kis kā saath diyā hai kaun kisī ke saath chalā
jaise sar se dhuup Dhalī hai saaya bhī Dhal jā.egā
ḳhuun ke rishte TuuT chuke haiñ chehroñ kī pahchān ga.ī
jis kā ūñchā mahl banegā apnā vo ban jā.egā
ūñche gharoñ meñ baiTh ke aksar log kitābeñ likhte haiñ
jis ne vo ghar dekhe hī nahīñ kyā us kī samajh meñ aa.egā
jādūgar kā shahr hai yaaro sehr-zada hai is kī havā
jis ne apne zehn se sochā patthar kā ban jā.egā
aur to sab kuchh bhuul chuke haiñ 'shams' bas itnā yaad hai ab
dhaan kī fasleñ kaTne lagī haiñ gandum boyā jā.egā
shahr ki jaanib chal to diya hun ganw bahut yaad aaega
soch raha hun ab ke muqaddar jaane kahan le jaega
ghar ko chhoDe muddat guzri rasta bhi ab yaad nahin
thak ke jahan ab baiTh gae hum ghar bhi wahin kahlaega
kis ne kis ka sath diya hai kaun kisi ke sath chala
jaise sar se dhup Dhali hai saya bhi Dhal jaega
KHun ke rishte TuT chuke hain chehron ki pahchan gai
jis ka uncha mahl banega apna wo ban jaega
unche gharon mein baiTh ke aksar log kitaben likhte hain
jis ne wo ghar dekhe hi nahin kya us ki samajh mein aaega
jadugar ka shahr hai yaro sehr-zada hai is ki hawa
jis ne apne zehn se socha patthar ka ban jaega
aur to sab kuchh bhul chuke hain 'shams' bas itna yaad hai ab
dhan ki faslen kaTne lagi hain gandum boya jaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.