shahr ki viran saDak par jashn-e-gham karte hue
shahr kī vīrāñ saḌak par jashn-e-ġham karte hue
jā rahā huuñ ḳhushki-e-mizhgāñ ko nam karte hue
zindagī tanhā safar par gāmzan hotī huī
aur ham yādoñ ko pichhlī ham-qadam karte hue
bol uThte haiñ ka.ī barsoñ purāne zaḳhm bhī
dil ho jab masrūf apnī chup raqam karte hue
us kā bhī kahnā yahī barbād ho jāoge tum
aur ham bhī Thiik vaisā dam-ba-dam karte hue
mehrbānī lāzmī hai ḳhud bhī apnī zaat par
harj kaisā aap apne par karam karte hue
dañg rah jāoge tum apne karam-farmā ko jab
dekh loge ik dafa ghar meñ sitam karte hue
ain-mumkin hai taḌap uThnā hamārā ek din
yaad meñ allāh kī yād-e-sanam karte hue
jaane kis dam le uḌe ye maut kā jhoñkā 'amar'
ek din ḳhāk-e-badan ko ḳhud meñ zam karte hue
shahr ki viran saDak par jashn-e-gham karte hue
ja raha hun KHushki-e-mizhgan ko nam karte hue
zindagi tanha safar par gamzan hoti hui
aur hum yaadon ko pichhli ham-qadam karte hue
bol uThte hain kai barson purane zaKHm bhi
dil ho jab masruf apni chup raqam karte hue
us ka bhi kahna yahi barbaad ho jaoge tum
aur hum bhi Thik waisa dam-ba-dam karte hue
mehrbani lazmi hai KHud bhi apni zat par
harj kaisa aap apne par karam karte hue
dang rah jaoge tum apne karam-farma ko jab
dekh loge ek dafa ghar mein sitam karte hue
ain-mumkin hai taDap uThna hamara ek din
yaad mein allah ki yaad-e-sanam karte hue
jaane kis dam le uDe ye maut ka jhonka 'amar'
ek din KHak-e-badan ko KHud mein zam karte hue
- Book : Word File Mail By Salim Saleem
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.