shahr mein ban ke mohabbat ka gadagar mangun
shahr meñ ban ke mohabbat kā gadāgar māñgūñ
mujh ko māñge se mile vo to maiñ dar dar māñgūñ
dahr kī daar pe jhūlūñ bhī to kaise jhūlūñ
ġham-e-duniyā bhī tire qad ke barābar māñgūñ
ik taraf dil ki tire ġham se ubhartā hī nahīñ
ik taraf maiñ ki tirī diid kā gauhar māñgūñ
terī yādoñ kī uḌāneñ bhī bahut ḳhuub magar
dil ye kahtā hai tire lams kā shahpar māñgūñ
zindagī merī hai kashkol-e-tahī kī sūrat
us bhikārī se maiñ māñgūñ bhī to kyā zar māñgūñ
ek patthar tirī rāhoñ se haTā huuñ jab se
aaj ye haal ki har paañv se Thokar māñgūñ
shahr mein ban ke mohabbat ka gadagar mangun
mujh ko mange se mile wo to main dar dar mangun
dahr ki dar pe jhulun bhi to kaise jhulun
gham-e-duniya bhi tere qad ke barabar mangun
ek taraf dil ki tere gham se ubharta hi nahin
ek taraf main ki teri did ka gauhar mangun
teri yaadon ki uDanen bhi bahut KHub magar
dil ye kahta hai tere lams ka shahpar mangun
zindagi meri hai kashkol-e-tahi ki surat
us bhikari se main mangun bhi to kya zar mangun
ek patthar teri rahon se haTa hun jab se
aaj ye haal ki har panw se Thokar mangun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.