shahr mein baste haiwanon se Dar lagta hai
shahr mein baste haiwanon se Dar lagta hai
Neelma Naheed Durrani
MORE BYNeelma Naheed Durrani
shahr meñ baste haivānoñ se Dar lagtā hai
mujh ko aise insānoñ se Dar lagtā hai
ūñchī zaat kā Dhoñg rachā kar Daste haiñ
ūñchī zaat ke shaitānoñ se Dar lagtā hai
masjid ke hujre meñ bachche mar jaate haiñ
tere ghar ke darbānoñ se Dar lagtā hai
aurat ghar ke chūlhe se jal jaatī hai
mujh ko aise zindānoñ se Dar lagtā hai
shahr mein baste haiwanon se Dar lagta hai
mujh ko aise insanon se Dar lagta hai
unchi zat ka Dhong racha kar Daste hain
unchi zat ke shaitanon se Dar lagta hai
masjid ke hujre mein bachche mar jate hain
tere ghar ke darbanon se Dar lagta hai
aurat ghar ke chulhe se jal jati hai
mujh ko aise zindanon se Dar lagta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.