shahr mein phirta hai wo mai-KHwar mast
shahr mein phirta hai wo mai-KHwar mast
Shaikh Zahuruddin Hatim
MORE BYShaikh Zahuruddin Hatim
shahr meñ phirtā hai vo mai-ḳhvār mast
kyuuñ na ho har kūcha o bāzār mast
ho ga.ī us kā qad o ruḳhsār dekh
sarv qumrī bulbul o gulzār mast
zāhido uTh jaao majlis se ki aaj
be-tarah aatā hai vo mai-ḳhvār mast
jis ke ghar jaatā hai vo daarū piye
ho hai us ghar ke dar-o-dīvār mast
sar ko qadmoñ par dhar us ke loTiye
raat ko aa.e agar vo yaar mast
mai-kasho 'hātim' ko matvālā kaho
aisā ham dekhā nahīñ hoshiyār mast
shahr mein phirta hai wo mai-KHwar mast
kyun na ho har kucha o bazar mast
ho gai us ka qad o ruKHsar dekh
sarw qumri bulbul o gulzar mast
zahido uTh jao majlis se ki aaj
be-tarah aata hai wo mai-KHwar mast
jis ke ghar jata hai wo daru piye
ho hai us ghar ke dar-o-diwar mast
sar ko qadmon par dhar us ke loTiye
raat ko aae agar wo yar mast
mai-kasho 'hatim' ko matwala kaho
aisa hum dekha nahin hoshiyar mast
- Book : Diwan Zadah (Pg. 151)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.