shahr mein saeban bahut se hain
shahr meñ sā.ebāñ bahut se haiñ
phir bhī kyuuñ be-amāñ bahut se haiñ
Dar ga.e ek imtihān se tum
merī jaañ! imtihāñ bahut se haiñ
luT gayā ek kārvāñ to kyā
raah meñ kārvāñ bahut se haiñ
rāz-e-ulfat ke ham nahīñ mujrim
aap ke rāz-dāñ bahut se haiñ
terī hī ham-navā nahīñ duniyā
mere bhī ham-zabāñ bahut se haiñ
is zamīn-e-suḳhan meñ ai 'jāmī'
dekhnā āsmāñ bahut se haiñ
shahr mein saeban bahut se hain
phir bhi kyun be-aman bahut se hain
Dar gae ek imtihan se tum
meri jaan! imtihan bahut se hain
luT gaya ek karwan to kya
rah mein karwan bahut se hain
raaz-e-ulfat ke hum nahin mujrim
aap ke raaz-dan bahut se hain
teri hi ham-nawa nahin duniya
mere bhi ham-zaban bahut se hain
is zamin-e-suKHan mein ai 'jami'
dekhna aasman bahut se hain
- Book : Pakistani Adab (Pg. 535)
- Author : Dr. Rashid Amjad
- Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.