shahr par raat ka shabab utre
shahr par raat kā shabāb utre
mujh pe tanhā.ī kā azaab utre
āñkheñ barseñ to TuuT kar barseñ
dhuup utre to be-hisāb utre
ham na.ī fikr ke payambar haiñ
ham pe bhī ik na.ī kitāb utre
pasliyoñ ke nahīf nezoñ par
bhuuk ke zard āftāb utre
ḳhuub thā ehtimām-e-dar-o-rasan
ham vahāñ se bhī kāmyāb utre
shahr bahrā hai log patthar haiñ
ab ke kis taur inqalāb utre
'āfrīñ' sher vo to jhūTe the
ab sadāqat kā koī baab utre
shahr par raat ka shabab utre
mujh pe tanhai ka azab utre
aankhen barsen to TuT kar barsen
dhup utre to be-hisab utre
hum nai fikr ke payambar hain
hum pe bhi ek nai kitab utre
pasliyon ke nahif nezon par
bhuk ke zard aaftab utre
KHub tha ehtimam-e-dar-o-rasan
hum wahan se bhi kaamyab utre
shahr bahra hai log patthar hain
ab ke kis taur inqalab utre
'afrin' sher wo to jhuTe the
ab sadaqat ka koi bab utre
- Book : Kunj piile phuulo.n kaa (Pg. 80)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.