shahr shahr DhunD aae dar-ba-dar pukar aae
shahr shahr DhūñD aa.e dar-ba-dar pukār aa.e
sīna-chāk nikle the aur dil-figār aa.e
ham ki the tahī-dāman dost aur kyā karte
zindagī sī dilkash shai tere ġham meñ haar aa.e
tere dar se ġham le kar jab gunāhgār uThe
mai-kadoñ kā kyā kahnā masjideñ sañvār aa.e
laġhzishoñ se vābasta laġhzisheñ qayāmat kī
raat kuchh ajab dhun meñ tere bāda-ḳhvār aa.e
dosto bas is lamha ham ko yaad kar lenā
jab kabhī gulistāñ meñ mausam-e-bahār aa.e
shahr shahr DhunD aae dar-ba-dar pukar aae
sina-chaak nikle the aur dil-figar aae
hum ki the tahi-daman dost aur kya karte
zindagi si dilkash shai tere gham mein haar aae
tere dar se gham le kar jab gunahgar uThe
mai-kadon ka kya kahna masjiden sanwar aae
laghzishon se wabasta laghzishen qayamat ki
raat kuchh ajab dhun mein tere baada-KHwar aae
dosto bas is lamha hum ko yaad kar lena
jab kabhi gulistan mein mausam-e-bahaar aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.