shahron se shahr-e-yar ki tanhaiyan na puchh
shahroñ se shahr-e-yār kī tanhā.iyāñ na pūchh
laale se lāla-zār kī tanhā.iyāñ na pūchh
gulshan meñ phuul dekh to sabze kā rang dekh
baTtī huī bahār kī tanhā.iyāñ na pūchh
jannat-badar hue to mile arz pe rafīq
jannat meñ kirdgār kī tanhā.iyāñ na pūchh
yārān-e-tez-gām to aage nikal ga.e
uḌte hue ġhubār kī tanhā.iyāñ na pūchh
merā lahū girā thā sar-e-rah aur us ke ba.ad
teġh-o-rasan kī daar kī tanhā.iyāñ na pūchh
shahron se shahr-e-yar ki tanhaiyan na puchh
lale se lala-zar ki tanhaiyan na puchh
gulshan mein phul dekh to sabze ka rang dekh
baTti hui bahaar ki tanhaiyan na puchh
jannat-badar hue to mile arz pe rafiq
jannat mein kirdgar ki tanhaiyan na puchh
yaran-e-tez-gam to aage nikal gae
uDte hue ghubar ki tanhaiyan na puchh
mera lahu gira tha sar-e-rah aur us ke baad
tegh-o-rasan ki dar ki tanhaiyan na puchh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.