shahron shahron lashe dekho bikhre hain
shahroñ shahroñ lāshe dekho bikhre haiñ
hākim mere shahr ke andhe gūñge haiñ
rone kī āvāzeñ haiñ ki ruktī nahīñ
hākim-e-shahr ye kis ke bachche bhūke haiñ
badle haiñ hālāt faqīh-e-shahr ke bas
logoñ ke hālāt bhalā kab badle haiñ
lagte haiñ phaldār shajar par shāyad saañp
khetoñ meñ ab shāyad patthar ugte haiñ
in kā jurm faqat thā sach se āgāhī
shahr ke chauk meñ ye jo do sar laTke haiñ
faisle apnī maut ke ham ne ḳhud 'safdar'
de kar vote haañ apne hāthoñ likkhe haiñ
shahron shahron lashe dekho bikhre hain
hakim mere shahr ke andhe gunge hain
rone ki aawazen hain ki rukti nahin
hakim-e-shahr ye kis ke bachche bhuke hain
badle hain haalat faqih-e-shahr ke bas
logon ke haalat bhala kab badle hain
lagte hain phaldar shajar par shayad sanp
kheton mein ab shayad patthar ugte hain
in ka jurm faqat tha sach se aagahi
shahr ke chauk mein ye jo do sar laTke hain
faisle apni maut ke hum ne KHud 'safdar'
de kar wote han apne hathon likkhe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.