shaiKH ko kabe se jo maqsud hai
shaiḳh ko ka.abe se jo maqsūd hai
vo kunisht-e-dil hī meñ maujūd hai
mere jalne kī kisī ko kyā ḳhabar
sozish-e-dil ātish-e-be-dūd hai
ne haram se kaam hai ne dair se
ḳhāna-e-dil hī mirā masjūd hai
farq mat kar āshiq o ma.ashūq meñ
ḳhud ayaaz aur aap hī mahmūd hai
kyā parī kyā huur kyā jinn-o-bashar
sab meñ vo shāyad mirā mash.hūd hai
mashrab-e-ushshāq meñ ai zāhido
us kā jo maḳhlūq hai ma.abūd hai
sañg o aahan ko ye kartī hai gudāz
aah hai ye naġhma-e-dā.ūd hai
kis se ai 'joshish' kahūñ maiñ dard-e-dil
mere us ke bolnā mafqūd hai
shaiKH ko kabe se jo maqsud hai
wo kunisht-e-dil hi mein maujud hai
mere jalne ki kisi ko kya KHabar
sozish-e-dil aatish-e-be-dud hai
ne haram se kaam hai ne dair se
KHana-e-dil hi mera masjud hai
farq mat kar aashiq o mashuq mein
KHud ayaz aur aap hi mahmud hai
kya pari kya hur kya jinn-o-bashar
sab mein wo shayad mera mashhud hai
mashrab-e-ushshaq mein ai zahido
us ka jo maKHluq hai mabud hai
sang o aahan ko ye karti hai gudaz
aah hai ye naghma-e-daud hai
kis se ai 'joshish' kahun main dard-e-dil
mere us ke bolna mafqud hai
- Deewan-e-Joshish(Rekhta Website)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.