shaiKH nadan na samajh ishq ke diwane ko
shaiḳh nādāñ na samajh ishq ke dīvāne ko
raah ka.abe se bhī jaatī hai sanam-ḳhāne ko
jalva-e-husn-e-jahāñ-tāb ke partav kī qasam
phir haqīqat se badal tuur ke afsāne ko
jurm apnā mujhe taslīm hai lekin ai dost
ham ne firdaus banāyā tire dīvāne ko
ḳhum ke ḳhum pīr-e-muġhāñ tū ne luñDhā.e bhī to kyā
chashm-e-mai-nosh tarastī rahī paimāne ko
najd meñ kyā koī majnūñ ke sivā aur na thā
tū ne dīvāna banāyā bhī to dīvāne ko
hausla hai to uThā jām-o-subū ai zāhid
tang-dil dekh uThā sar pe na maiḳhāne ko
ye bhī thā chashm-e-fusūñ-sāz kā sadqa 'zamzam'
barq kyā ḳhaak jalātī mire kāshāne ko
shaiKH nadan na samajh ishq ke diwane ko
rah kabe se bhi jati hai sanam-KHane ko
jalwa-e-husn-e-jahan-tab ke partaw ki qasam
phir haqiqat se badal tur ke afsane ko
jurm apna mujhe taslim hai lekin ai dost
hum ne firdaus banaya tere diwane ko
KHum ke KHum pir-e-mughan tu ne lunDhae bhi to kya
chashm-e-mai-nosh tarasti rahi paimane ko
najd mein kya koi majnun ke siwa aur na tha
tu ne diwana banaya bhi to diwane ko
hausla hai to uTha jam-o-subu ai zahid
tang-dil dekh uTha sar pe na maiKHane ko
ye bhi tha chashm-e-fusun-saz ka sadqa 'zamzam'
barq kya KHak jalati mere kashane ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.