shaiKH o barhaman donon hain bar-haq donon ka har kaam munasib
shaiKH o barhaman donon hain bar-haq donon ka har kaam munasib
Shauq Bahraichi
MORE BYShauq Bahraichi
shaiḳh o barhaman donoñ haiñ bar-haq donoñ kā har kaam munāsib
bech leñ fauran dair-o-haram bhī paa.eñ kahīñ gar daam munāsib
merā to har ik fe.al 'abas hai ġhair kā har iqdām munāsib
vāqi'a ye hai piiv jise chāheñ us kā suhāgan naam munāsib
vaqt kā paiham yuuñ hai taqāzā rahbar-e-sad-sāla ko haTā do
jaise purānī chiiz kā aksar hotā hai nīlām munāsib
ḳhauf hai din ko dekhe na duniyā ho na taqaddus aap kā rusvā
qasd hai mai-ḳhāne kā jo vā'iz is ke liye hai shaam munāsib
tere taġhāful ne kiyā zaḳhmī terī adāoñ ne hameñ maarā
chāhne vāloñ ke liye zālim the yahī atom-bām munāsib
tujh ko ḳhabar kyā is kī nahīñ hai sāthī kahāñ se pahuñche kahāñ tak
hosh meñ aa ārām ke bachche ab hai nahīñ ārām munāsib
ye tirī sāda-lauhiyāñ nāseh rañg kisī din lā ke raheñgī
ḳhuub banegī terī hajāmat mil ga.e gar hajjām munāsib
sīm-o-javāhir māh-laqā le apnī harīm-e-nāz sajā le
ḳhuub maze duniyā ke uḌā le haiñ abhī ye ayyām munāsib
baat bhī un se kī na kisī ne aarzū dil kī rah ga.ī dil meñ
ghar meñ hī baiThī rah ga.ī laḌkī aayā na ik paiġhām munāsib
shaiḳh o barhaman se koī kah de ruḳh na kareñ bhūle se udhar kā
ye hai mai-ḳhāna nahīñ is meñ dāḳhila-e-ayyām munāsib
jaur-o-sitam Dhāne meñ jo paiham aayā hai un ke ruḳh pe pasīna
hai mire armānoñ ke nahāne ke liye ye hammām munāsib
baat koī iz.hār-e-haqīqat meñ bhī uThā rakhnā nahīñ zālim
'shauq' kabhī ash'ār meñ jaise hotā nahīñ ilhām munāsib
shaiKH o barhaman donon hain bar-haq donon ka har kaam munasib
bech len fauran dair-o-haram bhi paen kahin gar dam munasib
mera to har ek feal 'abas hai ghair ka har iqdam munasib
waqi'a ye hai piw jise chahen us ka suhagan nam munasib
waqt ka paiham yun hai taqaza rahbar-e-sad-sala ko haTa do
jaise purani chiz ka aksar hota hai nilam munasib
KHauf hai din ko dekhe na duniya ho na taqaddus aap ka ruswa
qasd hai mai-KHane ka jo wa'iz is ke liye hai sham munasib
tere taghaful ne kiya zaKHmi teri adaon ne hamein mara
chahne walon ke liye zalim the yahi atom-baam munasib
tujh ko KHabar kya is ki nahin hai sathi kahan se pahunche kahan tak
hosh mein aa aaram ke bachche ab hai nahin aaram munasib
ye teri sada-lauhiyan naseh rang kisi din la ke rahengi
KHub banegi teri hajamat mil gae gar hajjam munasib
sim-o-jawahir mah-laqa le apni harim-e-naz saja le
KHub maze duniya ke uDa le hain abhi ye ayyam munasib
baat bhi un se ki na kisi ne aarzu dil ki rah gai dil mein
ghar mein hi baiThi rah gai laDki aaya na ek paigham munasib
shaiKH o barhaman se koi kah de ruKH na karen bhule se udhar ka
ye hai mai-KHana nahin is mein daKHila-e-ayyam munasib
jaur-o-sitam Dhane mein jo paiham aaya hai un ke ruKH pe pasina
hai mere armanon ke nahane ke liye ye hammam munasib
baat koi izhaar-e-haqiqat mein bhi uTha rakhna nahin zalim
'shauq' kabhi ash'ar mein jaise hota nahin ilham munasib
- Book : intekhab-e-kalam shauq bahraichi (Pg. 53)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.