shaiKH sahab se rasm-o-rah na ki
shaiḳh sāhab se rasm-o-rāh na kī
shukr hai zindagī tabāh na kī
tujh ko dekhā to ser-chashm hue
tujh ko chāhā to aur chaah na kī
tere dast-e-sitam kā ijz nahīñ
dil hī kāfir thā jis ne aah na kī
the shab-e-hijr kaam aur bahut
ham ne fikr-e-dil-e-tabāh na kī
kaun qātil bachā hai shahr meñ 'faiz'
jis se yāroñ ne rasm-o-rāh na kī
shaiKH sahab se rasm-o-rah na ki
shukr hai zindagi tabah na ki
tujh ko dekha to ser-chashm hue
tujh ko chaha to aur chah na ki
tere dast-e-sitam ka ijz nahin
dil hi kafir tha jis ne aah na ki
the shab-e-hijr kaam aur bahut
hum ne fikr-e-dil-e-tabah na ki
kaun qatil bacha hai shahr mein 'faiz'
jis se yaron ne rasm-o-rah na ki
- Book : Nuskha Hai Wafa (Pg. 239)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.