shajar aangan ka jab suraj se larzan hone lagta tha
shajar aangan ka jab suraj se larzan hone lagta tha
Nashtar Khaanqahi
MORE BYNashtar Khaanqahi
shajar āñgan kā jab sūraj se larzāñ hone lagtā thā
koī saaya mire ghar kā nigahbāñ hone lagtā thā
tasallī dene lagtī thiiñ mujhe juz-bandiyāñ us kī
maiñ jab ik ik varaq ho kar pareshāñ hone lagtā thā
sahar jis kī munājātoñ se thī rāteñ tahajjud se
maiñ us kī paak sohbat meñ musalmāñ hone lagtā thā
duā paḌh kar mirī maañ jab mire siine pe dam kartī
aqīdat ke añdheroñ meñ charāġhāñ hone lagtā thā
purāne peḌ phir taaza phaloñ se ladne lagte the
ga.e mausam se dil jab bhī gurezāñ hone lagtā thā
chunautī dene lagtī thiiñ na.ī dushvāriyāñ mujh ko
safar jab zindagī kā mujh pe āsāñ hone lagtā thā
batā.ūñ kyā ki kaisā bā-muravvat shaḳhs thā vo bhī
mujhe ilzām de kar ḳhud pashemāñ hone lagtā thā
shajar aangan ka jab suraj se larzan hone lagta tha
koi saya mere ghar ka nigahban hone lagta tha
tasalli dene lagti thin mujhe juz-bandiyan us ki
main jab ek ek waraq ho kar pareshan hone lagta tha
sahar jis ki munajaton se thi raaten tahajjud se
main us ki pak sohbat mein musalman hone lagta tha
dua paDh kar meri man jab mere sine pe dam karti
aqidat ke andheron mein charaghan hone lagta tha
purane peD phir taza phalon se ladne lagte the
gae mausam se dil jab bhi gurezan hone lagta tha
chunauti dene lagti thin nai dushwariyan mujh ko
safar jab zindagi ka mujh pe aasan hone lagta tha
bataun kya ki kaisa ba-murawwat shaKHs tha wo bhi
mujhe ilzam de kar KHud pasheman hone lagta tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.