shajar kalam karen shahr bhi naya ho jae
shajar kalām kareñ shahr bhī nayā ho jaa.e
maiñ ek ism paḌhūñ aur mo.ajiza ho jaa.e
ye log fart-e-tahayyur se mar bhī sakte haiñ
agar ye ḳhvāb haqīqat meñ rūnumā ho jaa.e
gale milo ki salāmat haiñ aaj ham donoñ
kise ḳhabar ki yahāñ kaun kab judā ho jaa.e
ye barmalā jo maiñ iqbāl-e-ishq kartā huuñ
ajab nahīñ ki mujhe ishq meñ sazā ho jaa.e
ye dil qayām pe maa.il hai in dinoñ varna
asā uThā.ūñ to dariyā bhī rāsta ho jaa.e
shajar kalam karen shahr bhi naya ho jae
main ek ism paDhun aur moajiza ho jae
ye log fart-e-tahayyur se mar bhi sakte hain
agar ye KHwab haqiqat mein runuma ho jae
gale milo ki salamat hain aaj hum donon
kise KHabar ki yahan kaun kab juda ho jae
ye barmala jo main iqbaal-e-ishq karta hun
ajab nahin ki mujhe ishq mein saza ho jae
ye dil qayam pe mail hai in dinon warna
asa uThaun to dariya bhi rasta ho jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.