shajar ye chaar-su baad-e-KHizan ke mare hue
shajar ye chār-sū bād-e-ḳhizāñ ke maare hue
sipāhī jaise nihatte adū se haare hue
ab aa bhī jā mirī jaañ ik zamāna biit gayā
biThā ke pahlū meñ terī nazar utāre hue
zarūr merī kisī baat par ḳhafā ho tum
vagarna kyoñ mire dushman mire sitāre hue
ye sard raat december kī kaaT dī maiñ ne
tire badan kī tapish ruuh meñ utāre hue
rahe parakhte bas ik dūsre ko duur se ham
na tum hamāre hue aur na ham tumhāre hue
laboñ pe un ke sadā qillatoñ kā ronā hai
ye log kasrat-e-aulād ke haiñ maare hue
judā.ī de ga.e sadiyoñ kī tum to jān-e-'shabāb'
janam guzar ga.e kitne tumheñ pukāre hue
shajar ye chaar-su baad-e-KHizan ke mare hue
sipahi jaise nihatte adu se haare hue
ab aa bhi ja meri jaan ek zamana bit gaya
biTha ke pahlu mein teri nazar utare hue
zarur meri kisi baat par KHafa ho tum
wagarna kyon mere dushman mere sitare hue
ye sard raat december ki kaT di main ne
tere badan ki tapish ruh mein utare hue
rahe parakhte bas ek dusre ko dur se hum
na tum hamare hue aur na hum tumhaare hue
labon pe un ke sada qillaton ka rona hai
ye log kasrat-e-aulad ke hain mare hue
judai de gae sadiyon ki tum to jaan-e-'shabab'
janam guzar gae kitne tumhein pukare hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.