Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kisi ko jab nigahon ke muqabil dekh leta hun

Shakeel Badayuni

kisi ko jab nigahon ke muqabil dekh leta hun

Shakeel Badayuni

MORE BYShakeel Badayuni

    kisī ko jab nigāhoñ ke muqābil dekh letā huuñ

    to pahle sar jhukā ke hālat-e-dil dekh letā huuñ

    ma.āl-e-justuju-e-zauq-e-kāmil dekh letā huuñ

    uThāte qadam āsār-e-manzil dekh letā huuñ

    maiñ tujh se aur lutf-e-ḳhās tālib ma.āz-allāh

    sitam-gar is bahāne se tirā dil dekh letā huuñ

    jo maujeñ ḳhaas kar chashm-o-charāġh-e-dām-e-tūfāñ haiñ

    maiñ un maujoñ ko ham-āġhosh-e-sāhil dekh letā huuñ

    'shakīl' ehsās hai mujh ko har ik mauzūñ tabī.at

    ġhazal paḌhne se pahle rañg-e-mahfil dekh letā huuñ

    kisi ko jab nigahon ke muqabil dekh leta hun

    to pahle sar jhuka ke haalat-e-dil dekh leta hun

    maal-e-justuju-e-zauq-e-kaamil dekh leta hun

    uThate hi qadam aasar-e-manzil dekh leta hun

    main tujh se aur lutf-e-KHas ka talib maaz-allah

    sitam-gar is bahane se tera dil dekh leta hun

    jo maujen KHas kar chashm-o-charagh-e-dam-e-tufan hain

    main un maujon ko ham-aghosh-e-sahil dekh leta hun

    'shakil' ehsas hai mujh ko har ek mauzun tabiat ka

    ghazal paDhne se pahle rang-e-mahfil dekh leta hun

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    kisi ko jab nigahon ke muqabil dekh leta hun Nomaan Shauque

    This content features in following collection(s)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now