Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

shakl-e-jaanana ja-ba-ja hain hum

Shah Aasim

shakl-e-jaanana ja-ba-ja hain hum

Shah Aasim

shakl-e-jānāna jā-ba-jā haiñ ham

kahīñ naaz aur kahīñ adā haiñ ham

kahīñ iisā haiñ ham kahīñ murda

kahīñ zinda kahīñ fanā haiñ ham

kahīñ aalā haiñ aur kahīñ adnā

kahīñ sultāñ kahīñ gadā haiñ ham

haiñ kahīñ āshiq-e-jigar-e-ḳhasta

kahīñ ma.ashūq-e-dil-rubā haiñ ham

kahīñ qatra haiñ aur kahīñ dariyā

kahīñ kashtī ke nāḳhudā haiñ ham

haiñ kahīñ ham davā-e-dāfa-e-dard

aur kahīñ dard-e-lā-davā haiñ ham

kahīñ haiñ shaah sūrat-e-ḳhādim

aur kahīñ 'āsim'-e-gadā haiñ ham

shakl-e-jaanana ja-ba-ja hain hum

kahin naz aur kahin ada hain hum

kahin isa hain hum kahin murda

kahin zinda kahin fana hain hum

kahin aala hain aur kahin adna

kahin sultan kahin gada hain hum

hain kahin aashiq-e-jigar-e-KHasta

kahin mashuq-e-dil-ruba hain hum

kahin qatra hain aur kahin dariya

kahin kashti ke naKHuda hain hum

hain kahin hum dawa-e-dafa-e-dard

aur kahin dard-e-la-dawa hain hum

kahin hain shah surat-e-KHadim

aur kahin 'asim'-e-gada hain hum

Source :
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Jashn-e-Rekhta 10th Edition | 5-6-7 December Get Tickets Here

Speak Now