shakl uski kisi surat se jo dikhlae hamein
shakl us kī kisī sūrat se jo dikhlā.e hameñ
dost aisā nahīñ miltā hai koī haa.e hameñ
bin bulā.e jo sadā aap chalā aatā thā
ab ye nafrat use aa.ī ki na bulvā.e hameñ
fā.eda kyā hai nasīhat se phire ho nāseh
ham samajhne ke nahīñ laakh tū samjhā.e hameñ
shakl us ki kisi surat se jo dikhlae hamein
dost aisa nahin milta hai koi hae hamein
bin bulae jo sada aap chala aata tha
ab ye nafrat use aai ki na bulwae hamein
faeda kya hai nasihat se phire ho naseh
hum samajhne ke nahin lakh tu samjhae hamein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.