sham-e-dil sham-e-tamanna na jala man bhi ja
sham-e-dil sham-e-tamannā na jalā maan bhī jā
tez āñdhī hai muḳhālif hai havā maan bhī jā
aisī duniyā meñ junūñ aise zamāne meñ vafā
is tarah ḳhud ko tamāshā na banā maan bhī jā
kab talak saath tirā deñge ye dhuñdle saa.e
dekh nādān na ban hosh meñ aa maan bhī jā
zindagī meñ abhī ḳhushiyāñ bhī haiñ ra.anā.ī bhī
zindagī se abhī dāman na chhuḌā maan bhī jā
shahr phir shahr hai yaañ jī to bahal jaatā hai
shahr ko chhoḌ ke sahrā ko na jā maan bhī jā
sham-e-dil sham-e-tamanna na jala man bhi ja
tez aandhi hai muKHalif hai hawa man bhi ja
aisi duniya mein junun aise zamane mein wafa
is tarah KHud ko tamasha na bana man bhi ja
kab talak sath tera denge ye dhundle sae
dekh nadan na ban hosh mein aa man bhi ja
zindagi mein abhi KHushiyan bhi hain ranai bhi
zindagi se abhi daman na chhuDa man bhi ja
shahr phir shahr hai yan ji to bahal jata hai
shahr ko chhoD ke sahra ko na ja man bhi ja
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.