Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sham-e-haq shoabada-e-harf dikha kar le jae

Zia Jalandhari

sham-e-haq shoabada-e-harf dikha kar le jae

Zia Jalandhari

MORE BYZia Jalandhari

    sham-e-haq sho.abada-e-harf dikhā kar le jaa.e

    kahīñ tujh ko na tujh se koī aa kar le jaa.e

    pahne phirte haiñ jo pairāhan-e-suqrāt-o-masīh

    un bahrūp na dil terā lubhā kar le jaa.e

    chaḌhāvā to nahīñ hai ki koī sehar-maqāl

    sū-e-maqtal tujhe lafzoñ meñ sajā kar le jaa.e

    koī sūkhā huā patta nahīñ hai ki jise

    jis taraf mauj-e-havā chāhe uḌā kar le jaa.e

    terī aqdār par-e-kāh nahīñ haiñ ki jūñhī

    koī lahar uTThe unheñ saath bahā kar le jaa.e

    log to taak meñ haiñ aisā na ho koī tujhe

    ḳhud tire ḳhauf zanjīr pinhā kar le jaa.e

    jā-ba-jā shola-bayāñ charb-zabāñ taak meñ haiñ

    koī tujh ko bhī na bātoñ meñ lagā kar le jaa.e

    lafz tīroñ tarah va.az sināñ ke mānind

    dil-e-vahshī ko kahāñ koī bachā kar le jaa.e

    sham-e-haq shoabada-e-harf dikha kar le jae

    kahin tujh ko hi na tujh se koi aa kar le jae

    pahne phirte hain jo pairahan-e-suqraat-o-masih

    un ka bahrup na dil tera lubha kar le jae

    tu chaDhawa to nahin hai ki koi sehar-maqal

    su-e-maqtal tujhe lafzon mein saja kar le jae

    tu koi sukha hua patta nahin hai ki jise

    jis taraf mauj-e-hawa chahe uDa kar le jae

    teri aqdar par-e-kah nahin hain ki junhi

    koi lahar uTThe unhen sath baha kar le jae

    log to tak mein hain aisa na ho koi tujhe

    KHud tere KHauf ki zanjir pinha kar le jae

    ja-ba-ja shola-bayan charb-zaban tak mein hain

    koi tujh ko bhi na baaton mein laga kar le jae

    lafz tiron ki tarah waz sinan ke manind

    dil-e-wahshi ko kahan koi bacha kar le jae

    Source :
    • Book : sar-e-shaam se pas-e-harf tak (Pg. 283)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now