sham-e-ummid jalate hain hawa mein hum log
sham-e-ummīd jalāte haiñ havā meñ ham log
dekh kyā laa.e guzar-gāh-e-fanā meñ ham log
zaḳhm-dar-zaḳhm samāñ taaza kiyā karte haiñ
ghol kar shoḳhī-e-maqtal ko hinā meñ ham log
laakh koshish bhī kareñ zinda nahīñ rah sakte
ham-ḳhayālī kī ḳhatarnāk vabā meñ ham log
soch lo kyā yahī jiinā hai jiye jaanā hai
bāñdhte haiñ koī tamhīd qazā meñ ham log
vo dikhā.ī nahīñ detā use chhū lete haiñ
lafz meñ rañg meñ ḳhushbū meñ sadā meñ ham log
dil-shikastoñ ko ḳham-e-zulf-e-butāñ kaafī thā
aur uljhā.e ga.e ḳhāk-o-ḳhalā meñ ham log
ye kahāñ aa ke na.ī fasl ugāne nikle
pichhle vaqtoñ se milī dhuup ghaTā meñ ham log
sham-e-ummid jalate hain hawa mein hum log
dekh kya lae guzar-gah-e-fana mein hum log
zaKHm-dar-zaKHm saman taza kiya karte hain
ghol kar shoKHi-e-maqtal ko hina mein hum log
lakh koshish bhi karen zinda nahin rah sakte
ham-KHayali ki KHatarnak waba mein hum log
soch lo kya yahi jina hai jiye jaana hai
bandhte hain koi tamhid qaza mein hum log
wo dikhai nahin deta use chhu lete hain
lafz mein rang mein KHushbu mein sada mein hum log
dil-shikaston ko KHam-e-zulf-e-butan kafi tha
aur uljhae gae KHak-o-KHala mein hum log
ye kahan aa ke nai fasl ugane nikle
pichhle waqton se mili dhup ghaTa mein hum log
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.