sham se ye kah rahi hai KHak-e-parwana abhi
sham' se ye kah rahī hai ḳhāk-e-parvāna abhī
raat āḳhir ho ga.ī baaqī hai afsāna abhī
ḳhatm ho jā.egī is ke baa'd tafsīr-e-hayāt
zindagī kahne ko hai ik aur afsāna abhī
baal to aa hī gayā ab TūTne kī der hai
aur ik sadme kā hai muhtāj paimāna abhī
qaid piine kī nahīñ pī kar bahaknā jurm hai
ham ne samjhā hī nahīñ dastūr-e-mai-ḳhāna abhī
aaj to shāyad thake-hāroñ kī manzil aa ga.ī
aur thoḌī duur chal ai 'azm-e-mardāna abhī
us ke hāthoñ se kahīñ dāman chhuḌāyā jā.egā
tum ne dekhā hī nahīñ hai koī dīvāna abhī
dekh ai rahrau pahuñchnā hai harīm-e-nāz tak
kā'ba rokegā tujhe rokegā but-ḳhāna abhī
zehn meñ ab bhī ubhar aate haiñ derīna nuqūsh
hañste hañste ro liyā kartā hai dīvāna abhī
tū ġham-e-duniyā se ai 'maḳhmūr' ghabrātā hai kyoñ
terī jānib hai nigāh-e-pīr-e-mai-ḳhāna abhī
sham' se ye kah rahi hai KHak-e-parwana abhi
raat aaKHir ho gai baqi hai afsana abhi
KHatm ho jaegi is ke ba'd tafsir-e-hayat
zindagi kahne ko hai ek aur afsana abhi
baal to aa hi gaya ab TuTne ki der hai
aur ek sadme ka hai muhtaj paimana abhi
qaid pine ki nahin pi kar bahakna jurm hai
hum ne samjha hi nahin dastur-e-mai-KHana abhi
aaj to shayad thake-haaron ki manzil aa gai
aur thoDi dur chal ai 'azm-e-mardana abhi
us ke hathon se kahin daman chhuDaya jaega
tum ne dekha hi nahin hai koi diwana abhi
dekh ai rahrau pahunchna hai harim-e-naz tak
ka'ba rokega tujhe rokega but-KHana abhi
zehn mein ab bhi ubhar aate hain derina nuqush
hanste hanste ro liya karta hai diwana abhi
tu gham-e-duniya se ai 'maKHmur' ghabraata hai kyon
teri jaanib hai nigah-e-pir-e-mai-KHana abhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.