shama jale hai mahfil mahfil KHak-basar parwana hai
sham.a jale hai mahfil mahfil ḳhāk-basar parvāna hai
is duniyā meñ dard parāyā sach hai kis ne jaanā hai
baat faqat itnī hai vaa.iz duur kā Dhol suhānā hai
varna jannat apnī jagah hai mai-ḳhāna mai-ḳhāna hai
un ke jalve merī nigāheñ donoñ haiñ kuchh farq nahīñ
maan liyā unvān alag haiñ lekin ek fasāna hai
tark-e-rāh-o-rasm-e-vafā kā hai un par ilzām ġhalat
aaj bhī apnī ḳhalvat-e-dil meñ un kā ānā-jānā hai
aate aate aa jā.egā chain bhī ġham ke māroñ ko
bharte bharte bhar jā.egā dil kā zaḳhm purānā hai
'badr' hamāre shīsha-e-dil meñ haiñ us kī tasvīr sabhī
jis ko sab ka.aba kahte haiñ vo bhī ik but-ḳhāna hai
shama jale hai mahfil mahfil KHak-basar parwana hai
is duniya mein dard paraya sach hai kis ne jaana hai
baat faqat itni hai waiz dur ka Dhol suhana hai
warna jannat apni jagah hai mai-KHana mai-KHana hai
un ke jalwe meri nigahen donon hain kuchh farq nahin
man liya unwan alag hain lekin ek fasana hai
tark-e-rah-o-rasm-e-wafa ka hai un par ilzam ghalat
aaj bhi apni KHalwat-e-dil mein un ka aana-jaana hai
aate aate aa jaega chain bhi gham ke maron ko
bharte bharte bhar jaega dil ka zaKHm purana hai
'badr' hamare shisha-e-dil mein hain us ki taswir sabhi
jis ko sab kaba kahte hain wo bhi ek but-KHana hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.