sham nazan hai faqat sar se bhaDak jaane mein aag
sham' nāzāñ hai faqat sar se bhaḌak jaane meñ aag
phūñk de saarā jahāñ haigī vo parvāne meñ aag
sho.ala-e-sham-e-haram husn-e-butāñ se hai ḳhajil
mujh ko ḳhatra hai ki lag jaa.e na but-ḳhāne meñ aag
dekhnā garmī kī ḳhūbī merī baarī jab aa.e
jā-e-mai saaqī ne bhar dī mire paimāne meñ aag
shaiḳh kī sumran-shumārī meñ koī garmī nahīñ
chashm-e-bīnā ho to zāhir hai har ik daane meñ aag
ātishīñ naale vo majnūñ ke mujhe aate haiñ yaad
dekhtā huuñ jo kahīñ dahke hai vīrāne meñ aag
be-dimāġhī hai bajā us ke fasāne se merī
ḳhvāb kyā laave vo pinhāñ ho jis afsāne meñ aag
kab hinsā thā maiñ bhalā jalne pe parvāne ke 'lutf'
daf'atan phūñkī merī jā.egī jo kāshāne meñ aag
sham' nazan hai faqat sar se bhaDak jaane mein aag
phunk de sara jahan haigi wo parwane mein aag
shoala-e-sham-e-haram husn-e-butan se hai KHajil
mujh ko KHatra hai ki lag jae na but-KHane mein aag
dekhna garmi ki KHubi meri bari jab aae
ja-e-mai saqi ne bhar di mere paimane mein aag
shaiKH ki sumran-shumari mein koi garmi nahin
chashm-e-bina ho to zahir hai har ek dane mein aag
aatishin nale wo majnun ke mujhe aate hain yaad
dekhta hun jo kahin dahke hai virane mein aag
be-dimaghi hai baja us ke fasane se meri
KHwab kya lawe wo pinhan ho jis afsane mein aag
kab hinsa tha main bhala jalne pe parwane ke 'lutf'
daf'atan phunki meri jaegi jo kashane mein aag
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.