shama ne jaise raat sar ki hai
sham.a ne jaise raat sar kī hai
ham ne bhī is tarah sahar kī hai
kū-e-qātil kahīñ kahīñ zindāñ
koī sūrat kahāñ mafar kī hai
apnī apnī salīb uThā ke chalo
sūrat ab to yahī safar kī hai
munsifo harf-e-ma.azarat kaisā
har ḳhatā ham ne soch kar kī hai
kitnī sadiyoñ kī dāstān-e-tavīl
chand ashkoñ ne muḳhtasar kī hai
shab kā afsāna bāñdhne vaalo
ye bhī tamhīd ik sahar kī hai
saañs ke qāfile kā ruk jaanā
ibtidā ik na.e safar kī hai
jaise sahrā meñ aan baiThe hoñ
sūrat aisī kuchh apne ghar kī hai
dushmanoñ kā to kuchh gila hī nahīñ
baat yārān-e-mo'atabar kī hai
matn kuchh aur surḳhiyāñ kuchh aur
shakl bigḌī huī ḳhabar kī hai
sach agar ik ḳhatā hai 'yazdānī'
ye ḳhatā ham ne umr bhar kī hai
shama ne jaise raat sar ki hai
hum ne bhi is tarah sahar ki hai
ku-e-qatil kahin kahin zindan
koi surat kahan mafar ki hai
apni apni salib uTha ke chalo
surat ab to yahi safar ki hai
munsifo harf-e-mazarat kaisa
har KHata hum ne soch kar ki hai
kitni sadiyon ki dastan-e-tawil
chand ashkon ne muKHtasar ki hai
shab ka afsana bandhne walo
ye bhi tamhid ek sahar ki hai
sans ke qafile ka ruk jaana
ibtida ek nae safar ki hai
jaise sahra mein aan baiThe hon
surat aisi kuchh apne ghar ki hai
dushmanon ka to kuchh gila hi nahin
baat yaran-e-mo'atabar ki hai
matn kuchh aur surKHiyan kuchh aur
shakl bigDi hui KHabar ki hai
sach agar ek KHata hai 'yazdani'
ye KHata hum ne umr bhar ki hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.