shama-ru aashiq ko apne yun jalana chahiye
sham.a-rū āshiq ko apne yuuñ jalānā chāhiye
kuchh hañsānā chāhiye aur kuchh rulānā chāhiye
zindagī kyūñkar kaTe be-shaġhl is piirī meñ aah
tum ko ab us naujavāñ se dil lagānā chāhiye
is maiñ sab rāz-e-nihāñ ho jā.eñge ham par ayaañ
phir use ik baar ghar apne bulānā chāhiye
phir ye mumkin hai ki mere paas tū ik dam rahe
kuchh na kuchh ai yaar bas tujh ko bahānā chāhiye
go bahut hoshiyār āshiq ai parī-rū haiñ tire
lekin un meñ ek 'ġhamgīñ' sā divāna chāhiye
shama-ru aashiq ko apne yun jalana chahiye
kuchh hansana chahiye aur kuchh rulana chahiye
zindagi kyunkar kaTe be-shaghl is piri mein aah
tum ko ab us naujawan se dil lagana chahiye
is main sab raaz-e-nihan ho jaenge hum par ayan
phir use ek bar ghar apne bulana chahiye
phir ye mumkin hai ki mere pas tu ek dam rahe
kuchh na kuchh ai yar bas tujh ko bahana chahiye
go bahut hoshiyar aashiq ai pari-ru hain tere
lekin un mein ek 'ghamgin' sa diwana chahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.