shamim-e-gesu-e-mushkin-e-yar lai hai
shamīm-e-gesū-e-mushkīn-e-yār laa.ī hai
sabā uḌā ke payām-e-bahār laa.ī hai
kisī urūs-e-shabistān-e-alf-lailā kā
churā ke ik nafas-e-mushk-bār laa.ī hai
jo rahravān-e-tarīq-e-talab haiñ un ke liye
ġhubār-e-manzil-e-shahr-e-nigār laa.ī hai
kaho ki dīda-o-dil ke liye nasīm-e-sahar
payām-e-ġhamza-e-ālam-shikār laa.ī hai
kaho ki ḳhirman-e-jāñ ke liye shamīm-e-bahār
salām-e-sho.ala-o-barq-o-sharār laa.ī hai
jo zā.irīn-e-harīm-e-vafā haiñ un ke liye
naved-e-rahmat-e-parvardigār laa.ī hai
vatan kī yaad kisī be-dayār kī ḳhātir
vatan se muzda-e-ahl-e-dayār laa.ī hai
shamim-e-gesu-e-mushkin-e-yar lai hai
saba uDa ke payam-e-bahaar lai hai
kisi urus-e-shabistan-e-alf-laila ka
chura ke ek nafas-e-mushk-bar lai hai
jo rahrawan-e-tariq-e-talab hain un ke liye
ghubar-e-manzil-e-shahr-e-nigar lai hai
kaho ki dida-o-dil ke liye nasim-e-sahar
payam-e-ghamza-e-alam-shikar lai hai
kaho ki KHirman-e-jaan ke liye shamim-e-bahaar
salam-e-shoala-o-barq-o-sharar lai hai
jo zairin-e-harim-e-wafa hain un ke liye
nawed-e-rahmat-e-parwardigar lai hai
watan ki yaad kisi be-dayar ki KHatir
watan se muzda-e-ahl-e-dayar lai hai
- Book : Hikayat-e-ne (Pg. 71)
- Author : Rais Amrohvi
- Publication : Rais Acadami, Garden Est, krachis (1975)
- Edition : 1975
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.