shamim-e-yar na jab tak chaman mein chhu aae
shamim-e-yar na jab tak chaman mein chhu aae
Munshi Amirullah Tasleem
MORE BYMunshi Amirullah Tasleem
shamīm-e-yār na jab tak chaman meñ chhū aa.e
na rañg aa.e kisī phuul meñ na bū aa.e
maza to jab hai shahādat kā maiñ idhar se baḌhūñ
udhar se teġh-e-jafā khiñch ke tā gulū aa.e
dimāġh de jo ḳhudā gulshan-e-mohabbat meñ
har ek gul se tire pairahan kī bū aa.e
zabāñ darāz sināñ zaḳhm meñ darīda dahan
kahīñ na donoñ meñ ranjish kī guftugū aa.e
dikhā.eñ husn-e-bayāñ shā.irī meñ kyā 'taslīm'
zabān aa.e na andāz-e-guftugū aa.e
shamim-e-yar na jab tak chaman mein chhu aae
na rang aae kisi phul mein na bu aae
maza to jab hai shahadat ka main idhar se baDhun
udhar se tegh-e-jafa khinch ke ta gulu aae
dimagh de jo KHuda gulshan-e-mohabbat mein
har ek gul se tere pairahan ki bu aae
zaban daraaz sinan zaKHm mein darida dahan
kahin na donon mein ranjish ki guftugu aae
dikhaen husn-e-bayan shairi mein kya 'taslim'
zaban aae na andaz-e-guftugu aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.