shamim-e-zulf-e-muambar jo ru-e-yar se lun
shamīm-e-zulf-e-muambar jo rū-e-yār se luuñ
to phir ḳhatā hai mirī mushk gar tatār se luuñ
qadam rakhe mire siine pe aa ke gar vo nigār
hinā kā kaam maiñ ḳhūn-e-dil-fiġhār se luuñ
agar mile tire hāthoñ se ai junūñ fursat
qisās-e-ābla-pā.ī maiñ nok-e-ḳhār se luuñ
mire huzūr ye loTe hai terī chhātī par
jo pahuñche haath to badlā guloñ ke haar se luuñ
dilā baje kahīñ ghaḌiyāl tā maiñ ghaḌiyoñ kā
hisāb us shab-e-hijr-e-siyāhkār se luuñ
'ajab hai sair kisī din to saath baaġh meñ chal
kahāñ talak maiñ qadam ijz-o-inkisār se luuñ
paTā-paTī kā mire paas gar na ho ḳhema
to yaar tere liye abr-e-nau bahār se luuñ
jo mai-kashī kā irāda ho kuchh tire dil meñ
chaman meñ sāġhar-e-gul dast-e-shāḳh-sār se luuñ
agar surāhi-e-ġhuncha meñ ho na bāda-e-surḳh
to shīsha-e-mai-e-ḳhas sarv-e-jūī-bār se luuñ
na hove mutrib-e-naġhma-sarā to is kā kaam
qasam hai mujh ko tirī andalīb-e-zār se luuñ
lage na haath koī gar rabāb-o-chañg-navāz
to apne dosh pe rakh biin ko maiñ taar se luuñ
ye jī meñ ho ki na dekhe koī to parde ko
kanār-e-āb-e-ravāñ chādar ābshār se luuñ
balā.eñ lene se mere agar ḳhushī ho tirī
balā.eñ mehr se iḳhlās se pyaar se luuñ
gar us pe bhī gul-e-āriz kā tū na de bosa
to phir maiñ jabr karūñ apne iḳhtiyār se luuñ
'nasīr' madarsa-e-ishq meñ mutavval kā
sabaq na kyūñki maiñ zulf-e-darāz-e-yār se luuñ
shamim-e-zulf-e-muambar jo ru-e-yar se lun
to phir KHata hai meri mushk gar tatar se lun
qadam rakhe mere sine pe aa ke gar wo nigar
hina ka kaam main KHun-e-dil-fighaar se lun
agar mile tere hathon se ai junun fursat
qisas-e-abla-pai main nok-e-KHar se lun
mere huzur ye loTe hai teri chhati par
jo pahunche hath to badla gulon ke haar se lun
dila baje kahin ghaDiyal ta main ghaDiyon ka
hisab us shab-e-hijr-e-siyahkar se lun
'ajab hai sair kisi din to sath bagh mein chal
kahan talak main qadam ijz-o-inkisar se lun
paTa-paTi ka mere pas gar na ho KHema
to yar tere liye abr-e-nau bahaar se lun
jo mai-kashi ka irada ho kuchh tere dil mein
chaman mein saghar-e-gul dast-e-shaKH-sar se lun
agar surahi-e-ghuncha mein ho na baada-e-surKH
to shisha-e-mai-e-KHas sarw-e-jui-bar se lun
na howe mutrib-e-naghma-sara to is ka kaam
qasam hai mujh ko teri andalib-e-zar se lun
lage na hath koi gar rabab-o-chang-nawaz
to apne dosh pe rakh bin ko main tar se lun
ye ji mein ho ki na dekhe koi to parde ko
kanar-e-ab-e-rawan chadar aabshaar se lun
balaen lene se mere agar KHushi ho teri
balaen mehr se iKHlas se pyar se lun
gar us pe bhi gul-e-ariz ka tu na de bosa
to phir main jabr karun apne iKHtiyar se lun
'nasir' madarsa-e-ishq mein mutawwal ka
sabaq na kyunki main zulf-e-daraaz-e-yar se lun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.